Vayakti ko kabhi bhi kisi se koi bhi apechchha nahin rakhani chahiye. Kyunki jab bhi hum kisi anay vayakti se kuchh bhi aashaye bandhatai hai or phir woh vayakti humari ashaoun ke anusar karya nahin karta toh hum sarvpratham toh us vayakti ke upar krodh kartai hai sath hi humai du:kha bhi hota hai or jab ek vayakti bar-bar humari ashaoun ke hi viruddh karya karta hai toh woh vayakti ( chahai wah humara kitana bhi khash ho ) bhi humari nazaroun mai buraa ban jata hai.
iskai viprit agar hum pahlai se hi ye sochkar nahin rakhangai ki amuk vayakti ya phir humara hi koi nikat sambandhi humarai man ke anusar socha huaa karya karai toh baad mai agar wah vayakti humarai manoanukool aacharan nahin bhi karaiga toh bhi humarai man par na toh kisi parkar ka krodh haawi hoga or na hi humai du:kha hoga .
kyunki is sansar mai du:kha ka ek baraa karan vayakti ka vayakti ke parti ati ashawadi hona bhi hai.
18/10/95