RESPONSIBILTY OF MOTHER-FATHER , Santaan ke janam se pahle uske swagat ke liye mata-pita ki paristhitiyan anukool honi chahiye . Vai bhoutik suvidhaoun, sharirik tatparta tatha anukool mansikta ke saath parstut ho, toh santaan ke saath nayay ho sakta hai.
Agar santaan ko janam dene ke baad mata-pita ko lage ki unke paas santaan ke liye samay nahin hai, unke paas apni gambhir chintaye ya mahtavpuran lakhchhya hai, bachche unhe apne marg ki badha lagne lage or Vai un par jhallate ya naraj hote rahe rahain toh ye santaan ke saath nayay nahin hoga . Nirdhan mata-pita ke dawara unhe purantah: mahoul ke hawale kar dena, ya phir dhanwan mata-pita ke dawara bachchoun ko puri tarah aaya or noukaroun ke supurd karna santaan ke bhavishaya ko barbaad karne ka hi karan hoga.
Dhan ke bal par noukar-chakar, shikhchhk aadi uplabdh kara dene bhar se santaan ke parti mata-pita ka dayitav pura nahin ho jata . Tik usi tarah abhav mai rahne wale mata-pita ka dayitav sirf bachchoun ko paida karke halat ke hawale kar dene bhar se pura nahin ho jata .
santaan ko mata-pita ki bhoutik suvidhoun ke sath ,unka samay, unka sharir, unka man, unki aatama, unka pyar, aadi partiyek vsatu aavasyakta hoti hai. Or jab tak koi bhi mata-pita in vsatuoun ko dene mai samarth na ho tab tak unhe santaan parapti ka khayal bhi nahin karna chahiye.
Aadhunik samay mai kartavay heen soch hone or phir usi kartavay heen soch ke mahoul mai palne -barne ke karan hi bachche bhi kartavay heen ban rahe hai or ye hi karan hai ki aaj sabhi ko apne-apne adhikaroun ki toh chinta rahati hai kartavayoun ki nahin or isiliye hamara samaj dhire-dhire disha-heen hota ja raha hai.
anil verma - 17/4/94