Jis parkar khait mai bina mehanat kiye aap koi phasal parapt nahin kar saktai . tik usi parkar karambhumi ke chhaitar mai bhi bina koi karam kiye phal parapti ki ichchha karana samajhadani ka kaam nahin hota. yahan iss baat par bhi dhyan dene ki aavasyakata hai ki jis parkar koi kisan khait mai mehanat kar ke beej toh rop deta hai kintu uss khait mai phasal aachchhi paida ho iskai liye usai parkirti ke sahyog ki bhi aavasyakta hoti hai kyunki agar phasal ke anurup varsha ya dhoop ya mousam nahin rahta tab bhi uss kisan ko aapni mehanat ke anurusaar phasal parapt nahin ho sakti.
Issi tarah se karambhumi ke chhaitar mai bhi humara jor kewal karam karne par hi rahana chahiye aagai uss karam ka kya phal parapt hoga ye uss samay ke halat or parkirti par hi chhor dena chahiye.
anil verma 3/5/98
kyunki agar kisan khait ke kinare bait kar agar ye hi sochata rahai ki sayad varsha hogi ya nahin , sayad dhoop niklegi ya nahin, toh parkirti ke anusar varsha or dhoop aakar cheli bhi jayegi lekin aapne beej ropne ke karam ko nahin karne ke karan uss kisan ko koi bhi phal parapt nahin ho payega .
Niskars ye hi nikalta hai ki partyek jivdhaari ko aapni-aapni parkirti ke anusar karam avasay karan chaiye phir phal kya milta hai ye toh koi god/iswar ya phi parkirti hi jaanti hai.