Dukh Ka Karan
Jab bina mehnat kiye hi yadi kisi vayakti ko bhojan prapt hota rahega toh woh vayakti aalsi ho jayega. uski ichchha shakti ki mirtyu ho jayegi .jis karan uska vikas bhi ruk jayega. uske antarman mai naye vicharoun ka sarvatha lop ho jayega . iske viprit jo vayakti swayam mehnati hai wah unnati ke shikhar ko chhu sakta hai. uske ander nayi - nayi baatoun ka uday hota rahta hai or wah hamesha vikas ke path par agarsar rahta hai. jo vayakti kisi anay par aasrit hokar jiwan vaytit karta hai wah apne jiwan ka toh nukasan karta hi hai sath hi ek anavasyak bhar ki tarah apne aasarya daata ko bhi chintit rakhata hai. esa vayakti ek murde ke saman hai. esai vayakti ki samaj mai koi ijjat nahin karta. anil verma/20/5/95
|