jyun nikal kar badalon ki goud se,
thi abhi ek bund kuchh aage bari,
sochane phir-phir ye hi dil me lagi,
aah kyun ghar chhor kar mai yun pari,
dev mere bhagay mai hai kya bada,
main bachungi ya milungi dhool mai,
gir parungi ya angare par kisi,
chu parungi ya kamal ke phool mai,
bhagay se bah gayi uos kaal ek esi hawa,
wah samunder uor aayi an-mani,
ek sunder seep ka tha muh khula,
oos mai giri moti bani ,
log yun hi sochate jhijhkate,
jabki un ko chhorna parta hai ghar,
ghar ko chhorna akshar unhen ,
bund loo kuchh oor hi deta hai kar.