Jiwan jine ke teen hi parkar ho sakte hai .
Pahla ye ki tum bhay ke karan jiyo , tab tumahara jiwan hoga ek dukh , ek pira , ek santap. waise jiwan mai anand ke phul khilane ka koi upay nahin , waisa vayakti bhaybhit kanpta hi rahega . Use santulan banana bhi katin hoga or wah chahega ki paida hi na hua hota to achchha tha.
Dusra parkar hai lobh ka ki tum koi koi mahtavakanchchha lekar jiyo, kuchh pane ki ichchha ke sath , koi vasana , kuchh pa lene ki ichchha hi tumhe chalaye. Tab bhay ke sath jine wale aadmi se to tumhari halat achchhi hogi lekin bahut jayada achchhi nahin, kyunki tumhare jiwan mai thori asha ki kiran hogi. Tum kabhi kabhi muskara sakoge, lekin tumhari muskrahat ke pichhe bhi kuchchh na kar pane ka ya jo tumne paya hai uske kho jane ka lobh hi chhupa hoga , or sayad tum jante hi hoge ki lobh bhi bhay ka hi dushara rup hai.
Bhay atit se bandha hai to lobh bhavishya se , bhay tum uska karte ho jo ho gaya ho or lobh uska jo ki ho jana chahiye. Lekin dono hi halat mai tum wartman mai nahin jite ho jahan ki tumhe hona chahiye . Lobhi vayakti har samay uttejjit rahta hai, use parteyek samay ek ajib sa kuchh paane ka bukhar sa chara rahta hai.
Ek tisra tarika bhi hai jine ka , lekin wah kewal kuchh hi logo ko uplabadh hota hai. Sirf un logo ko jo na to bhay se hi pirit hai or na hi kisi lobh se aakarsit, jinhone jiwan ka satya dekh liya hai or jiwan ka satya yahin (wartman mai) or abhi hai na to wah atit mai hai or na hi bhavisay mai.
Jisane satya ko dekh liya wah apni sunyata ko bhi dekh lega ki mere paas kuchh bhi nahin hai , or jis din tum ye jan lete ho ki tumhare paas kuchh bhi nahin hai , tik usi din tum ye bhi jan lete ho ki iss jagat mai kuchh pane ka rasta bhi nahin hai . anayatha abhi tak tumne hi nahin tumse pahale bhi sabhi ne paa liya hota.
Na jane kitne hi janmo se tum bhag rahe ho lobh ki aakanchha mai bhaybhit ho ki kahin kuchh kho na jaye jo ki tumhare paas hai hi nahin or aakanchha kar rahe ho kuchh pane ki jo ki tum kabhi paa na sakoge. kyunki "tumhare" atirikt tumhare paas "tumhara " kuchh bhi to nahin hai. Tum hi tumhari sampada ho sakte ho , wah tum hi ho isi waqt Use paane ke liye kal tak rukane ki koi jarurt nahin hai . Yah hakikat hai ki tum sunya (jiro) ho or sunya hi rahoge, sunyata tumhara sawabhab hai.
Tum agar 'swarg' ke lobh se bhi pirit ho to tum sansari ho , agar tum sirf is liye daan kar rahe ho ki tumhe iska partifal milega to tum sirf ek dukandar ho, tum suoda kar rahe ho, Tum agar vesya ke ghar ke aage se isliye aankh band kar ke nikal jate ho ki agar dekh liya to tumhe narak jana parega to tum pahele hi vesaya ke ghar ja chuke . Agar tum isliye koi paap nahin karte ho ki tum dale jaoge narak ki aag mai to tum ne wah saare paap man hi man kar diye . Kyunki tumhe paap se koi virodh nahin hai tum sirf narak mai jane se bhayabhit ho. To tum koi dharmik aadmi nahin ho tum sirf ek dukandar ho , tumhara sochne ka tarika chalaki ka hai , saralta ka nahin. kyunki agar tum saral hote to tum narak se nahin darte apitu paap se darte.
Agar tumhe achanak pata chal jaye ki koi narak nahin hai to tum achanak paoge ki tumhare kadam vesaya ke ghar ki taraf utne lage hai . agar tumhe kahin ye pata lag jaye ki paap karne se swarg milega or pooja karne se narak ( ki isawariy vidhan mai parivartan ho gaya hai swarg jane ke niyam badal gaye hai ) to tumhe apne mandir - masjid or anay pooja sathlo ko vesalaya banane mai kitani der lagegi ?
Agar tum bhay ke karan dharmik ho to tumhari dharmikta vastwik nahin hai , agar tum lobh ke karan dharmik ho to bhi tumhari dharmikta khokhali hai , dharmik aadmi to wah hai ki agar uski saralta ke karan use narak bhi milata ho to bhi wah use khusi se sweekar kar lega or agar uski satyata ke karan use aanant kal tak bhi dukh bhogna pare to bhi wah raji hoga lekin apni sarlta or satyata ko nahin chhorega.