rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
Home
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
DrAnil verma
Categories
Blogs
Philosophy
Friends
Writing
Personal
Poetry
Investigation
Politics
My Top Posts
MAYAJAL...
DHARAM...
sahaj yog...
Population...
population...
thought...
thought...
aadmi...
AASTHA...
Favourites 25
Dr.Roopa Naik
manabendra Boruah
chuba jamir
VICHITRA GUPTA
archie jha
veronica fernandes
monika malhotra
mary
amarnath pandey
mary pallava
sonia joseph
Ramsingh Sachan
rajeswari tk
Vijay
raji
Internet MoneyGuru
Joseph Antony
ramnath rajaram
solemn williams
Elisabeth
daniel ribero
anil verma
ROARING KINI
meenakshi sharma
Pooja N
What is an RSS feed?
RSS Feed 
newkranti.rediffiland.com/ 
Recent Posts
 14:26 | 5/Jul/2008 | 24 Comment(s)
Friendship

धरातल पे खुद को उतारा मैने                                      Dharatal pe khud ko utaara maine

फिर जिंदगी को आज संवारा मैने                                       Phir jindagi ko aaj sanwara maine  

थे     कभी      दुश्मन   जो   मेरे                                     The kabhi jo dushaman mere      

दौस्त कह उनको भी पुकारा मैने.                                       Dost kah unko bhi pukara maine                 


9/10/97


जिस व्यक्ति ने इस संसार मे स्वयं अपने आप                   Jis vyakti ne is sansar me sawayam par

पर  अपने गमों पर दिल खोल कर हसना सीख                   v apne gamon par dil khol kar hasna         

लिया फिर उसे इस दुनिया मे कोई भी रोने के लिए                sikh liya phi use is duniya me koi bhi rone

विवश नहीं कर सकता .                                                    ke liye vivash nahin kar sakta .

10/10/97
------------------------------------------------
संसार मे वही व्यक्ति बुद्धिमान कहलाने योग्य है                Sansar me vahi vyakti buddhiman kahlane 

जो दूसरे के दोषों  अवगुणों से शिच्छा लेकर उन्हें                 yogya hai jo dusare ke dosho v avguno se

अपने अंदर पनपने का कोई अवसर नहीं देता .                     shichha lekar unhe apne ander panpane ka

                                                                                 avasar nahin deta .

12/10/97
-----------------------------------------------
आदर्श व्यक्ति कभी भी अपने शारीरिक बल ,                   Aadarsh vyakti kabhi bhi apne saririk bal ,

बुद्धि , कौशल  धन-संपदा पर किसी तरह का गर्व                buddhi , koushal, v dhan-sampada par kisi

नहीं करते . ये कार्य तो केवल मूर्ख एवम् नीच प्रर्वती              tarah ka garv nahin karte.Ye karya toh kewal

के मनुष्यों को ही शोभा देता है .                                     nich or murkh pravarti ke manushyo ko hi

                                                                                  shobha deta hai.

17/10/97

Permalink 
 01:17 | 30/Jun/2008 | 16 Comment(s)
ANSWER OF QUESTION - 2

2. EXPPECTETION- I am not saying you can not expectetion from any other persson or closed relationship, please understand i am saying only if you have expectetion from others and want his/her complet your expectetion than frist you complet expectetion of others.

 Example - agar aap chahte hai ki anay vaykati (chhote or bare ) aapki ijjat kare toh pahle aapko bhi dusroun ki ijjat karni hogi, ( if you want respect from junior than frist give respect to sinior ) agar aap chahte hai ki aapke bachche aapki aashaoun ko pura kare toh pahle sochain ki kya aapne aapne maa-baap ki asha puri ki hai, jab ek nayi bahu ghar mai aati hai toh saas ki bahu se anek ashayai hati hai tik ushi tarah bahu ki bhi apni saas se anek ashayain hoti hai lekin donou hi ek dusre ki ashayain pura nahin kar pati or phir ghar mai kalah hoti hai or pariwar toot jatain hai.

Mera sochana or kahana sirf ye hi hai ki ya toh hum kisi se koi asha na kare or agar asha kartai bhi hai toh agar asha puri nahin hoti toh uska bura maan kar apnai man ko ashant na karai.

Bina asha ke toh ye duniya bhi nahin chal sakti duniya ko banane wali super power ( Bhagwan / allah / god ya anay koi ) ne bhi kisi na kisi asha mai hi sansar ko banaya hoga or pirtyek vayakti ek dusare ke sath kisi na kisi asha mai hi jurta ya bandhata ya sath rahataa hai lekin mera kahana ye hai ki humari asha ek seema mai hi honi chahiye or agar samane wala humari asha ko kisi karan se pura nahin kar pata hai toh hume uaske sath aapne sambandh nahin bigarne chahiye.

दुनिया को जीत भी लो तो क्या                                    (duniya ko jeet bhi lo toh kya
                            
जिंदगी मौत से हार जाएगी,                                jindagi mout se haar jayegi
चालाकी से पा भी ली मंज़िलें अगर                                           (chalaki se paa bhi li manjilai agar
                            खुदा की मंज़िल ना मिल पाएगी,                          khuda ki manjil na mil payegi
सताने से कभी किसी को जमाने मे                                           (sataane se kabhi kisi ko jamane mai
                            रातौं मे ना कभी नीदें सुकून आएगी,                      ratoun mai na nidai sukun aayegi
इन्सानियत को रखना संभालकर अनिल                             (insaniyat ko rakhana sambhalkar anil
                            इन्सानियत ही तेरे साथ जाएगी.                          insaniyat hi tere sath jayegi

Permalink 
 01:18 | 29/Jun/2008 | 15 Comment(s)
ANSWER OF QUESTION - 1

ANSWER OF FEW QUESTION

Many friends putup few question at my two blog so I am giving answer.

1. REALTY-My friends I know very well " parivartan hi sansar ka niyam hai " but friend please add next line with this " jitani chaddar ho utne hi pair falaao" ( in english - "cut your coat according to your cloth " ) but prasent time 98% person nature is like ( in english-"TO MAKE CASTLES IN THE AIR" ) " HAWA MAI POOL BANDHANA".

I am saying only anyone person doing any work for self & family but every time have real fact in mind. EXAMPLE- If you have a bycycle than you can think for scootor, why can you think for HONDA CITY and if you think for honda city than in my words this is not real fact and many chance in future may be you can do any crime in future if you want direct honda city from bycycle !

Please understand my words I am not saying you can not think for honda city you can do it but friend this is possible only step-by-step, Again understand my words If you follow real fact step-by-step you can touch sky .

 

Permalink 
 20:18 | 20/Jun/2008 | 21 Comment(s)
REALTY

Pratyek vayakti ko chahiye ki wah yatharth ke dharatal par hi apne jiwan ki aadharshila rakhai. Kyunki kalpnik or aadumberpuran jiwan paddhati apnanai wala vayakti kabhi bhi mansik shanti prapt nahin kar saktaa.

8/10/97

Permalink 
 20:02 | 20/Jun/2008 | 11 Comment(s)
HOPE FROM OTHERS

Vayakti ko kabhi bhi kisi se koi bhi apechchha nahin rakhani chahiye. Kyunki jab bhi hum kisi anay vayakti se kuchh bhi aashaye bandhatai hai or phir woh vayakti humari ashaoun ke anusar karya nahin karta toh hum sarvpratham toh us vayakti ke upar krodh kartai hai sath hi humai du:kha bhi hota hai or jab ek vayakti bar-bar humari ashaoun ke hi viruddh karya karta hai toh woh vayakti ( chahai wah humara kitana bhi khash ho ) bhi humari nazaroun mai buraa ban jata hai.

iskai viprit agar hum pahlai se hi ye sochkar nahin rakhangai ki amuk vayakti ya phir humara hi koi nikat sambandhi humarai man ke anusar socha huaa karya karai toh baad mai agar wah vayakti humarai manoanukool aacharan nahin bhi karaiga toh bhi humarai man par na toh kisi parkar ka krodh haawi hoga or na hi humai du:kha hoga .

kyunki is sansar mai du:kha ka ek baraa karan vayakti ka vayakti ke parti ati ashawadi hona bhi hai.

18/10/95 

Permalink 
 21:40 | 16/Jun/2008 | 16 Comment(s)
RESPONSIBILTY

RESPONSIBILTY OF MOTHER-FATHER , Santaan ke janam se pahle uske swagat ke liye mata-pita ki paristhitiyan anukool honi chahiye . Vai bhoutik suvidhaoun, sharirik tatparta tatha anukool mansikta ke saath parstut ho, toh santaan ke saath nayay ho sakta hai.

Agar santaan ko janam dene ke baad mata-pita ko lage ki unke paas santaan ke liye samay nahin hai, unke paas apni gambhir chintaye ya mahtavpuran lakhchhya hai, bachche unhe apne marg ki badha lagne lage or Vai un par jhallate ya naraj hote rahe rahain toh ye santaan ke saath nayay nahin hoga . Nirdhan mata-pita ke dawara unhe purantah: mahoul ke hawale kar dena, ya phir dhanwan mata-pita ke dawara bachchoun ko puri tarah  aaya or noukaroun ke supurd karna santaan ke bhavishaya ko barbaad karne ka hi karan hoga.

Dhan ke bal par noukar-chakar, shikhchhk aadi uplabdh kara dene bhar se santaan ke parti mata-pita ka dayitav pura nahin ho jata . Tik usi tarah abhav mai rahne wale mata-pita ka dayitav sirf bachchoun ko paida karke halat ke hawale kar dene bhar se pura nahin ho jata .

santaan ko mata-pita ki bhoutik suvidhoun ke sath ,unka samay, unka sharir, unka man, unki aatama, unka pyar, aadi partiyek vsatu aavasyakta hoti hai. Or jab tak koi bhi mata-pita in vsatuoun ko dene mai samarth na ho tab tak unhe santaan parapti ka khayal bhi nahin karna chahiye.

Aadhunik samay mai kartavay heen soch hone or phir usi kartavay heen soch ke mahoul mai palne -barne ke karan hi bachche bhi kartavay heen ban rahe hai or ye hi karan hai ki aaj sabhi ko apne-apne adhikaroun ki toh chinta rahati hai kartavayoun ki nahin or isiliye  hamara samaj dhire-dhire disha-heen hota ja raha hai.

anil verma - 17/4/94

Permalink 
 21:55 | 11/Jun/2008 | 4 Comment(s)
KARAM ( WORK )

Jis parkar khait mai bina mehanat kiye aap koi phasal parapt nahin kar saktai . tik usi parkar karambhumi ke chhaitar mai bhi bina koi karam kiye phal parapti ki ichchha karana samajhadani ka kaam nahin hota. yahan iss baat par bhi dhyan dene ki aavasyakata hai ki jis parkar koi kisan khait mai mehanat kar ke beej toh rop deta hai kintu uss khait mai phasal aachchhi paida ho iskai liye usai parkirti ke sahyog ki bhi aavasyakta hoti hai kyunki agar phasal ke anurup varsha ya dhoop ya mousam nahin rahta tab bhi uss kisan ko aapni mehanat ke anurusaar phasal parapt nahin ho sakti.

Issi tarah se karambhumi ke chhaitar mai bhi humara jor kewal karam karne par hi rahana chahiye aagai uss karam ka kya phal parapt hoga ye uss samay ke halat or parkirti par hi chhor dena chahiye.

anil verma 3/5/98

kyunki agar kisan khait ke kinare bait kar agar ye hi sochata rahai ki sayad varsha hogi ya nahin , sayad dhoop niklegi ya nahin, toh parkirti ke anusar varsha or dhoop aakar cheli bhi jayegi lekin aapne beej ropne ke karam ko nahin karne ke karan uss kisan ko koi bhi phal parapt nahin ho payega .

Niskars ye hi nikalta hai ki partyek jivdhaari ko aapni-aapni parkirti ke anusar karam avasay karan chaiye phir phal kya milta hai ye toh koi god/iswar ya phi parkirti hi jaanti hai. 

Permalink 
 16:20 | 11/Jun/2008 | 10 Comment(s)
Politician

Ducaitou ka ghar lutairou ka vaas

Nahin koi khatra yahan aas-paas

rahte hai woh hi luterai yahan par

kahlate    jo   aadmi     hai    khaas

yuriya mai ghotala kisi ne kiya

kisi ne jalai kisanou ki kapas

sharbat mai chini sari pi gaye ye neta

pi le lahoo humara magar na le ye sans

aajkal ki rajniti ka ye chalan hai anil

par-likh kar hum tum chhilate hai ghaas

3/9/96

 

Permalink 
 16:07 | 11/Jun/2008 | 7 Comment(s)
Dukh Ka Karan

Jab bina mehnat kiye hi yadi kisi vayakti ko bhojan prapt hota rahega toh woh vayakti aalsi ho jayega. uski ichchha shakti ki mirtyu ho jayegi .jis karan uska vikas bhi ruk jayega. uske antarman mai naye vicharoun ka sarvatha lop ho jayega .  iske viprit jo vayakti swayam mehnati hai wah unnati ke shikhar ko chhu sakta hai. uske ander nayi - nayi baatoun ka uday hota rahta hai or wah hamesha vikas ke path par agarsar rahta hai. jo vayakti kisi anay par aasrit hokar jiwan vaytit karta hai wah apne jiwan ka toh nukasan karta hi hai sath hi ek anavasyak bhar ki tarah apne aasarya daata ko bhi chintit rakhata hai. esa vayakti ek murde ke saman hai. esai vayakti ki samaj mai koi ijjat nahin karta.

anil verma/20/5/95

Permalink 
 20:38 | 10/Jun/2008 | 12 Comment(s)
RIGHT THINK FOR LIFE

Ye mat socho ki log aapke baarain mai kya sochatai hai ye socho ki aap swayam apne baarai mai kya sochatai ho.

Agar aapko aabhash hotaa hai ki aapke vichar jraa bhi taamsik parvaritike hai toh aapne vicharoun mai sudhar kar unhe satawik dharatal pardaan karne ki koshish karou. Or awayam ko usi parkar badalane ki koshish karo ki aap har ek jivdhari or swayam ke parti satwikta puran sadvayavhar kar sako.

Phir dekho ki aapki aatma kitani swachh or shant ho jayegi or aap swayam ko har samay parphullit mahsus karogai

anil verma 8/10/97

Permalink